Aashiqana Written Update Season 2 Episode 1

Hotstar Aashiqana 5 July 2022 Written Update

Hotstar Aashiqana 5 July 2022 Written Update

aaj ke episode mai jab chikki yash ki baatein sunti hai to wo bahut dukhi hoti hai aur rone lagti hai.dadi aur ghar ke baki log waha se chale jate hai tabhi yash ka chota bhai raj kehta hai ki mai mobile update kar sakta hun,laptop update kar sakta hun ,kash mai apni gamily ko bhi update kar sakta.

yash jaise hi palatta hai to chikki ko samne dekh ke shocked ho jata hai.chikki chupchap kamre mai chali jati hai aur yash apne kamre mai chale jata hai aur phir chikki ke sath hue drone wale moments ko yad karta hai tabhi wahan raj aa jata hai.

yash raj se kehta hai ki maine uske bare mai bahut kuch ulta seedha bol diya ,usne family ki jaan bachayi,shivani ki jaan bachayi aur maine kya kiya sab kharab kar diya.

raj kehta hai ye sab to aap roj karte ho aaj kuch alag karo aur jake sorry bolo.

yash pure ghar mai chikki ko dhudhta hai lekin wo nahi milti ,chikki shivani ke kamre mai shivani se baat kar rahi hoti hai ,shivani chikki ko thank you kehti hai ki tumne 2 baar meri jaan bachayi per please kabhi kisi ko mat batana.

chikki kehti hai ki mar jaongi lekin kabhi tumhara secret bahar nahi aayega.

tabhi chikki ko uski mausi ka call aata hai aur wo call attend karne bahar jati hai ,call se usko pata chalta hai ki uske mausaji puri family ko dusre shahar mai le ja rahe hai.

uske mausaji use dhamki dete hai ki khabardar jo ghar aayi ab yahan kabhi laut ke mat aana,chikki ye sunke dukhi ho jati hai.

tabhi yash use dekhta hai aur sochta hai ki ye ro kyu rahi hai.aur wo chikki ke samne aake khada hota hai.chikki puchti hai ki apko kuch kehan hai to yash ghabra jata hai ki nahinmujhe laga ki tum kuch kehna chahati ho.

chikki waha se chali jati hai……………..

tabhi dadi aur ghar ke sab log wahan aate hai aur dadi ghar ki bahu ke blouse ko dekh ke use daat lagati hai tabhi unki najar chikki ke fashionable kurte ki taraf padti hai aur wo chock ho jati hai………………………..

 

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.