Hotstar Aashiqana 4 July 2022 Written Update
Hotstar Aashiqana 4 July 2022 Written Update
Aaj ke episode ke start main chikki shivani ke samne aa jati hai jisse maskman ka chaku chikki ke shoulder pe lag jata hai .
Yash ka chota bhai shivani ko lekar ghar jata hai wahi yash chikki ko hospital le jata hai jahan doctors chikki ko out of danger batate hai
Policeman sachin yash se chikki ke bare mai puchta hai aur keha hai ki wardi to humne pehni hai lekin police ka kaam to chikki ji kar rahi hai.
Sachin kehta hai inhe inke ghar nahi le ja sakte aur hospital mai bhi nahi rakh sakte inki jaan ko khatra hai
Wahi ghar mai dadi bahut gussa hoti hai ki yash kahan reh gaya yash ka chota bhai man mai kehta hai ki agar dadi ko pata chal gaya ki bhaiya chikki ke sath hai to bawal mach jayega.
Tabhi shivani ke sasuralwale aa jate hai dadi yash ke upper gusse mai hoti hai ki tabhi yash godh mai chikki ko utha ke lata hai .
Sabhi log yash ko shock mai dekhte hai to yash kehta hai ki ye ladki police protection mai hai aur iski suraksha meri jimmedari hai isliye mai ise ghar laya ,mai ise room mai chod ke aata hun.
Shivani ke sasuralwalo ke jane ke bad jab yash neeche aata hai tab dadi yash ke upper bahut gussa hoti hai aur kehti hai ki chikki is ghar main ahi reh sakti .
Yash ka chota bhai kehta ki dadi apko pata nahi ki chikki ne shivani ki jaan bachayi hai ,to dadi kehti hai ki medal do lekin wo besharam ladki is ghar main ahi reh sakti.
Dadi chikki ke bare mai bahut kuch ulta seedha kehti hai ,yash dadi ko dilasa deta hai ki uska chikki ke sath koi relation nahi hai chikki mai bahut sari kamiyan hai aur wo is ghar ki bahu kahi nahi ban sakti aapne jahan mera rishta tay kiya hai mai wahi shadi karunga.
Tab tak chikki upper room se neeche aa jati hai aur yash ki sari baatein sun leti hai aur uski aankhon se aansoo behne lagte hai………………….