Aashiqana Written Update 20 Aug 2022
Aashiqana Written Update 20 Aug 2022
Aashiqana Written Update 20 Aug 2022 – Hotstar Aashiqana Written update – Aashiqana Written Update Episode 66
Last episode of this season
shyam chikki ko apne sath lekar aata hai chikki puchti hai ki aap mujhe yahan kyu laye hai shyam,syam kehta hai ki aapka kehna hai ki log aapki qadar nahi karte aaj mai apko batana chata hun ki mai aapki kitni qadar karta hun aur chikki ko kamre mai band karke apne bhai kailsh ko call karta hai.
shyam kailsh ko batata hai ki mai chikki ko le aaya hun ,kailsh kehta hai ki wo tujhse pyar nahi karti mai apni aankhon se use yash ke liye goliyan khate hue dekha hai.kailash shyam se kehta hai ki mujhe bata ki tu kaha hai mai wahan aata hun…
yash chikki ke tracker se chikki ko track karte hue wahan tak pahuchta hai aur chikki se puchta hai ki ye sab kya ho raha hai shyam tumhe yaha kyu lekar aaya ,chikki kehti hai ki shayad shyam apne bhai ko yahan bula raha hai.
yash kehta hai ki ye sab bahut dangerous hai mai tumhe yahan nahi chod sakta tum chalo yahan se ,chikki kehti ki aap hote kaun hai mujhe ye sab kehne wale vaise hi aap to ye case chod chuke hai…………
aap shayad un ladkiyon ke chehre bhul chuke hai lekin mai nahi bhuli agar is case ki wajah se mai mar bhi jaon to mujhe gam nahi hoga kam se kam un ladkiyon ko insaf mil jayega…tabhi darwaje pe shyam ke aane ki aahat hoti hai aur dusri personality wala shyam wahan aata hai….
dusri taraf bhabhi raj ko phone karti hai aur puchti hai ki tera office ka kam kaisa chal raha hai aur batati hai ki ki home minister hamare ghar aaye hai aur wo hamare rishtedat hai …..tabhi raj ek ladki jia se takrata hai aur use dekhte hi bawla ho jata hai…………..
dusri personality wala shyam chikki se puchta hai ki tum mujhse pyar karti ho ya yash se aur chikki ko maarta hai …..yash wahi chupa hota hai yash wahan se aane wala hota hai tabhi chikki bolti hai ki nahi mai yash se pyar karti thi lekin jab se pata chala hai ki aap mujhse pyar karte hai tabse mai aapse pyar karti hun…
shyam apni normal personality mai wapas aa jata hai aur chikki se kehta hai ki hum aaj hi shadi kar lete hai ,chiki kehta hai ki bina gharwalo ke to shyam kehta hai ki bhaiya aa rahe hai mai pandit ko le ke aata hai aur phir shyam wahan se chala jata hai…………..
yash bahar aata hai aur chikki se kehta hai ki bas thodi der aur chikki ek baar iska bhai aa jaye phir hum un sab ladkiyon ko insaf dila denge…………..
wahi dusri taraf raj apne office mai galti se dusre floor pe chala jata hai jahan log ek deadbody le ja rahe hote hai wo janne ki koshish ke liye us room mai jata hai to wahan use bahut sari dead bodies milti hai ,aur wahi ek dustbin mai use rajib tanwar ke naam likhi hui el slip milti hai ,tabhi wahan ek siren bajne lagta hai ….
raj waha se bhagta hai wo log bhi use pakadne ke liye uske peeche bhagte hai tabhi jia raj ko kheech ke apne cabin mai le jati hai aur use kiss karti hai taki wo gumman raj ko dhudh na sake..
chikki shadi ke liye tayyar hoti hai ,yash ki team bahar yash ka wait karti hai yash ek fake knife mangata hai apni team se ,tabhi yash ke pass shyam ke bhai ki call details milti hai jisse pata chalta hai ki shyam ka bhai ek hafte se mere ghar ke andar hai ..dono ka shaq kailash pe jata hai …yash kehta hai ki kailash hi cult leader hai…
shyam chikki ko shadi ke liye le ke jata hai , kailash wahan aa ke use samjhane ki koshish karta hai ki chikki use trap kar rahi hai lekin shyam jab nahi manta to kailash yash ke number pe call karta hai .phone ki ring usi jagah bajta hai to kailash kehta hai ki yash bahar aa jaon ab chupne se koi fayda nahi..
kailash phir se shyam ko samjhata hai ki ye dono tujhe trap kar rahe hai lekin shyam nahi samajhta kailash use khich ke bahar le jata hai to yash shyam ko uksata hai ki ab chikki sirf meri hogi bas itna hi pyar kiya tha tune aur yash chikki se sath jabardasti phere leta hai shyam ko uksane ke liye aur uski mang mai sindoor bharta hai….
shyam yash ko gun se maarne ki koshish karta hai to yash palat ke chaku use fek ke maarta hai tabhi kailash beech mai aa jata hai aur chaku kailash ko lag jata hai…shyam apne bhai ko lekar wahan se chala jata hai ,lekin tab tak yash aur chikki ki shadi ho jati hai aur chikki ek jordar thappad yash ko maarti hai ki ye kya kiya aapne mujhse shadi kyunki…………..
yash kehta hai ki ye nakli shadi hai vaise bhi tum to mujhse shadi karna hi nahi chahati ho… phir yash chikki se kehta hai ki bas 2 din is nakli shadi ka natak kar lo mujhe vishwas hai ki shyam wapas jarur aayega..
yash chikki ko lekr ghar aata hai ,bhabhi aur chachi darwaja kholte hai aur dono ko khoon se lathpath dekhte hai aur chikki ki maang mai sindoor dkhte hai to kehte hai ki tum dono se shadi kar li
yash puchta hai ki dadi kaha hai gharwale batate hai ki wo bahar hai home minister ji ko rokne ke liye ….tabhi raj wahan daudte hue aata hai aur uske sath hui sab baat batata hai aur kehta hai ek paper shred kar rahe the aur ek paper pe home minister ka nam likha hua tha…
tabhi chikki kehti hai ki dadi unke sath hi hai ….tabhi home minister ki gaadi blast hota hai aur sabhi log wahan gir jate hai dadi behosh ho jati hai..
raj ,chikki , yash aur uski team ko le ke apne research center mai jata hai checking ke liye lekin jab wo log wahan pahuchte hai tab tak wahan se sab kuch hata diya jata hai….
raj kehta hai ki bhaiya mai sach keh raha hun ,maine yaha pe wo sab dekha….tabhi yash ek call ke liye bahar jata hai wahan shyam aa ke yash ko goli maar deta hai….
yash ko hospital ke operation theater mai le jate hai , wahi kailash bus mai ja raha hota hai tab mar jata hai
jia apne khoon se sane hath saaf karti hai …………dadi chikki ki maang mai sindoor dekthti hai….
chikki polec force join karti hai ,yash suspend hota hai aur in sab hadso ke peeche phir se ek nayi mystery …now we have to wait for season 2